Bari takleef hoti hy jb hum khushio ki talash me nikaltay hein aur wo kisi aisi qeemat k peechay chupi hoti hein jinhen hum ada nahi kar saktay. Lakin kya sirf qimat ada kar k he khushiyan pai ja sakti hein??? Shayad haan, aur Shayad Nahi.
Haan iss liyeh k duniya ki buhat si khushiyan khuhaishat(wishes) ko pora karnay say juri hoti hein :
jesay k aap kahin bahar ja k khana khatay hein, kahin picnic pay chalay jatay hein, koi new cheez kharidtay hein, ghar me paint karwatay hein, kitchen ko improve kartay hein, new dresses banatay hein, ghar me tiles marble lagwatay hein, kisi new jaga shift hojatay hein, pani ki new bottles latay hein, new fridge, ac, tv, mobile, furniture, laptop, aur pata nahi kya kya, list khatam nahi hoti chalti chali jati hy, her wo cheez jo aap paiso say laytay hein wo aap ko khushi deti hy ager aap afford kar saktay hein tu.
Lakin, ager aap uss cheez ko afford na kar sakain jis ki aap ko khuhaish ho tu aap ko bari takleef ka samna karna parta hy, aap apni kum salary, apni limited amdani, apnay mahdood zara'ey ko lay kar bari takleef me mubtala ho jatay hein, aur chahtay na chahtay howey apnay aap ko dosro say mawazna karnay lag jatay hein, k wo tu mujh say kum parha likha hy phr b zada khushhaal hy, us nay tu apna career abhi shuru kara hy phr b zada asaish wali zindagi guzar raha, wo tu haram kamata hy, wo tu jhoot bolta hy, wo tu be'imani karta phr mazay me hy, waghera waghera. Aisay moqon per aap apnay aap ko duniya ka behtareen insan samajhnay lagtay aur dosro ko kumtar aur samjhtay hein aap k sath na'insafi ho rahi hy. Lakin aap yeh nahi samajhtay ko wo apni zindagi guzar raha hy aur aap apni. aap uss ki khushiyan, asaishain aur maza tu daikhtay hein likin uss ki zindagi ki mushkilat b us ko he jhailna parti hein na k aap ko. Mager hum khuhaishat ki takmeel me andhay ho jatay hein.
Lakin, aik baat hum sub nay daikhi hogi, paiso say kharidi khushi arzi hoti hy, wo cheezo k puranay hotay hotay zayal hojati hy. Phr nai khuhaish janam lati hy aur nai race shuru hojati hy.
Tu phr konshi khushi daimi hoti hy.......????
continue....
Lakin, aik baat hum sub nay daikhi hogi, paiso say kharidi khushi arzi hoti hy, wo cheezo k puranay hotay hotay zayal hojati hy. Phr nai khuhaish janam lati hy aur nai race shuru hojati hy.
Tu phr konshi khushi daimi hoti hy.......????
continue....