Monday, October 5, 2015

Ghaday

aksar middle class me insan nahi Ghaday (donkey) hotay hein. Jin ka maqsad sirf zindagi ki zaroriyat ko pora karnay k liyeh mehnat karna hota hy. Yeh subha say shaam tak ghado ki terhan kaam kartay, haftay k 6 din aur 7th day Ghoray beych k sotay hein.

In ki mehnat say inn ka malik tariqi ki manazil tay karta hy aur yeh ghurbat ki manazil tay kar k middle class me zinda rehtay hein. apni zahant , apni soch, apni fikar, sub k sub ko mamooli si tankhwa k aywaz bech daytay hein Haalan k yeh nahi jantay k ager apna demagh ager apnay liyeh chalain tu shayad yeh apnay malik ko apna nokar rakh saktay hein. Mager afsos k yeh himmat nahi kartay. Ghada honay ki aik waja yeh b hy k inn me himmat nahi hoti, yeh dartay hein k kahi nokri choot gae tu logo k agay haath na pehlana paray iss dar say yeh apnay malik k agay b awaz nahi uthatay aur uss k her hukum ko jaiz mantay howay tameel kartay hein.

middle class ki yeh hamesha say masla raha hy k yeh taraqqi karnay say dartay hein, isi liyeh nokri karnay ko behtar samajhtay hein. inn k nazdeek "no pain=big gain". in k nazdeek ager yeh taraqi kar gaey tu, taraqi ki waja say jo masail paida hoon gay un ko hal karnay aur bardasht karni ki inn me salahiyat nahi. Haalan k yeh nahi jantay k "Allah jb husun dayta hy, tu nazakat aa he jati hey".

Darr .... humara sub say bara dushman hy, hum apnay aap say he dartay hein k hum ghaday na rahay tu kya banay gayy...



No comments:

Post a Comment